hum ek aise kaal mein rehte hain jahan vyast rehna ek garv ki baat hoti hai. jaise jaise humari zindagi ki gati badhti hai, waise waise waqt ka anand uthana mushkil hota jaata hai. har pal ko jeena, apne vatavaran ko saraahna aur khud me usko gholna hi manushyata aur aajivan sukh ko ek doosre se milaata hai.
71% logon ne pehle hi is challenge ko poora karne ki thaani par ant mein time na hone ka kaaran batate hue peeche hat gaye. in logon ke paas khush rehne ke liye waqt nahi tha. kya aapke paas hai?
har din woh ek tasveer submit karein jisne aapko khush kiya
wah kuch bhi ho sakta hai. kareebi dost ke saath milne se lekar ghar mein hone ki khushi tak kuch bhi ya agar aapne kisi ajnabi insaan ki madad ki ho.
#100happydays challenge sirf aapke liye hai-kisi aur ke liye nahi
yeh koi dikhaave wali pratiyogita nahi hai. isliye agar aapne apne tasveeron se kisi ko thes pahunchaane ki ya unhe kisi bhi tarah se utsaahit karne ki koshish ki, toh aap usi waqt haar jaayenge. cheating karne par bhi parinaam yahi hoga.
toh pehle aap register karein >yahan<, phir apne tasveeron ko submit karne ke liye apne pasandida platform ko chune. yahan aap apne privacy options khud se decide kar sakte hain:
ab aap tayyar hain! :)
jin logon ne is challenge ko poora kiya hai, unka manna hai ki:
-un cheezon par dhyaan de jo unhe khush karti hain;
-har din ek behtar mood mein rahe;
-anya logon se taarifein milna shuru hoga;
-is baat ka ehsaas hoga ki woh kitne khush kismat hain apne zindagi ko lekar;
-adhik aashawadi banein;
-is challenge ke dauraan pyaar mein pade.
Visit www.100happydays.com/done, tell us the story of your challenge and get 100 happy moments printed. Voilà!